Lesson Plans — har class ke tayyar plans
Punjab Curriculum and Textbook Board (PCTB) ki kitabon ke liye bilkul tayyar lesson plans — koi copy par likhne ki mehnat nahi. Har plan standard format mein hai, lekin zuban itni aasan ke koi bhi teacher pehli dafa dekh kar parha sake. Har plan ke sath usi ke cut-and-use flashcards bhi hain.
Is page par har class ke plans alag alag diye jayenge. Class 2 aur Class 3 English ki poori kitabon ke plans tayyar hain — baqi classes par kaam jaari hai aur plans yahin, isi page par, aik aik karke shamil hote jayenge.
Abhi available hai
English-2 — Complete Lesson Plans (Units 1–12 + Review 1, 2, 3, 4)
Is poori kitab ke 80 tayyar lesson plans — har unit ke 6 plans aur chaaron reviews ke 2-2 plans, page by page isi kitab ke mutabiq. Har plan standard format mein hai: SLOs, board work, teacher ki boli hui lines, slow / average / fast learners ke liye alag kaam, assessment ke jawab, aur 20 pages ke cut-and-use flashcards bare akhron mein — print karke kaat lein aur class mein istemal karein. Ye plans AEO observation (School Monitoring Evaluation Form Ver. 7.16) ke 7 points ko cover karte hain. Apne period ke mutabiq version chunein.
English-3 — Complete Lesson Plans (Units 1–11 + Review 1, 2, 3)
Is poori kitab ke 72 tayyar lesson plans — har unit ke 6 plans aur teeno reviews ke 2-2 plans, page by page isi kitab ke mutabiq. Har plan standard format mein hai: SLOs, board work, teacher ki boli hui lines, slow / average / fast learners ke liye alag kaam, assessment ke jawab, aur 27 pages ke cut-and-use flashcards bare akhron mein — print karke kaat lein aur class mein istemal karein. Ye plans AEO observation (School Monitoring Evaluation Form Ver. 7.16) ke 7 points ko cover karte hain. Apne period ke mutabiq version chunein.
Baqi classes — tayyari jaari hai
In classes ke lesson plans ban rahe hain aur tayyar hote hi isi page par shamil kar diye jayenge. Tab tak un ki kitabein Textbooks page se online parhein ya download karein.
Har plan mein kya hota hai?
SLOs — board ke liye tayyar
Har plan ke Student Learning Outcomes aasan zuban mein likhe hain. Plan mein note bhi hai ke teacher ye SLOs lesson ke shuru mein board par likhe aur class ko bataye.
Board Work — left, middle, right
Board par kya likhna hai, pehle se tay hai: left side par key points, middle mein main kaam, right side par practice words. Class mein sochna nahi parta.
Teacher Says — boli hui lines
Har plan mein teacher ki kehne wali lines inverted commas mein di hain — introduction se lekar har step tak. Naya teacher bhi pehle din se pur-aitmaad parha sakta hai.
Har level ke liye kaam
Practice mein slow, average aur fast learners ke liye alag alag kaam diya hai, taake kamzor bacha peeche na rahe aur tez bacha khali na baithe.
Assessment — jawab ke sath
Lesson ke aakhir mein checking sawalat aur un ke jawab diye hain, sath mein teacher ki feedback line — agar bache ghalti karein to dobara kaise samjhana hai.
Cut-and-use flashcards
Har booklet ke aakhir mein bare cards ke pages — word cards, picture cards, sentence cards (Class 3 mein 27 pages, Class 2 mein 20 pages). Plan batata hai ke cards kis step mein istemal honge; print karke kaatna sirf baqi hai.
AEO observation ke 7 points — har plan mein cover
School Monitoring Evaluation Form Ver. 7.16 par AEO saat cheezein dekhta hai: (1) lesson planning, (2) clear objectives, (3) content accuracy and delivery, (4) differentiated instructions, (5) student engagement, (6) classroom and time management, (7) assessment and response. In plans mein har point ke liye alag hissa hai — SLOs board par likhne ka note, kitab ke page by page steps, teen levels ka kaam, minutes ki mukammal taqseem aur aakhir mein assessment with feedback.
— Rehman Ahmad Chaudhary, Head Teacher, GPS 117 DB(BJ), Yazman
Aksar pooche gaye sawalat
Ye lesson plans kis kitab ke mutabiq hain?
Har booklet usi class ki official PCTB kitab ke page by page mutabiq hai — wahi text, wahi exercises, wahi grammar aur writing tasks jo kitab mein hain. Class 3 English ke plans kitab ke pages 1 se 120 tak ke tamam 11 units aur 3 reviews ko cover karte hain; Class 2 English ke plans us kitab ke pages 1 se 119 tak ke tamam 12 units aur 4 reviews ko cover karte hain.
35 minute aur 45 minute — kaun sa version download karun?
Apne school ke period ke mutabiq chunein. Agar aap ke periods 35 minute ke hain to 35-minute wala version lein; 45 minute ke periods ke liye dusra version hai. Dono mein plans wahi hain, sirf har hisse (introduction, presentation, practice, assessment, conclusion) ke minutes alag hain.
Kya ye plans AEO observation mein kaam aayenge?
Ji — ye plans isi liye standard format mein banaye gaye hain ke School Monitoring Evaluation Form Ver. 7.16 ke 7 points (lesson planning, clear objectives, content accuracy, differentiated work, student participation, time management, assessment) har lesson mein cover hon. Format wahi hai jo AEO dekhta hai, lekin zuban aasan rakhi gayi hai.
Cut-and-use cards kaise istemal hon ge?
Tamam cards har booklet ke aakhir mein aik sath (Part 2) diye gaye hain — bare akhron mein, pure page par phailay hue, darmiyan mein safed gap ke sath, aur har card page par us ke plan ka number bare akhron mein likha hai. Plan ke andar Cards wali line batati hai ke cards kis step mein istemal honge. Aakhir wale pages print karein, gap se kaat lein, aur class mein istemal karein.
Kya lesson plans bilkul muft hain?
Ji, bilkul muft hain. Download karein, print karein aur apni class mein istemal karein.